Saturday, March 13, 2010

walking alone


Mai aksar apni parchai se baat karta hu
Apne saaye me khud ko talash karta hu
kho gaya hai wajood mera kahin mujhme
hotho se dil ki baat bayan karta hu
Mai aksar apni parchai se baat karta hu
Apne saaye me khud ko talash karta hu
mera ateet tha tanhaiyo se bhara hua
mera kal hai mere aaj se dara hua
mai wo sakhs hu jo khud se bewafai karta hu
Mai aksar apni parchai se baat karta hu
Apne saaye me khud ko talash karta hu
meri zindgi ka har kagaj kora hi reh gaya
har sapna tash ke patto sa deh gaya
har subah aayine me khud ko talash karta hu
Mai aksar apni parchai se baat karta hu
Apne saaye me khud ko talash karta hu
meri zindgi ka har pal khushiyo ka mohtaj tha
auro ki chodo apno ka hi badla hua andaj tha
aaj mai sare bazar me khushiya neelam karta hu
Mai aksar apni parchai se baat karta hu
Apne saaye me khud ko talash karta hu
kho gaya saya mera kahin in andheri raho me
so gayi hia raat kahin chandni ki baho me
aaj mai wo hu jo taro ki numaish karta hu
Mai aksar apni parchai se baat karta hu
Apne saaye me khud ko talash karta hu

4 comments: